imHindi.com

Independence Day Shayari

Happy Independence Day Shayari (स्वतंत्रता दिवस) It is celebrated every year in India on 15th August with great enthusiasm. Indians pay tribute to all the freedom fighters and leaders who fought for the independence of India.

 

On this 77th Independence Day of India, we are sharing with you Independence Day 15 August Shayari which you can use to wish your loved ones a Happy Independence Day. independence day shayari, happy independence day shayari, independence day shayari in hindi 2023, स्वतंत्रता दिवस.

Ishq Toh Karta Hai

Ishq Toh Karta Hai Har Koyi
Mehboob Pe Marta Hai Har Koyi
Kabhi Watan Ko Mehboob Bana Kar Dekho
Fir Tujh Pe Marega Har Koyi.

इश्क तो करता है हर कोई
महबूब पे मरता है हर कोई
कभी वतन को महबूब बना कर देखो
फिर तुझ पे मारेगा हर कोई
Ishq Toh Karta Hai

Zamaane Bhar Mein

Zamaane Bhar Mein Milte Hain Aashiq Kayi
Magar Watan Se Khoobsurat Koyi Sanam Nahi Hota
Noton Mein Lipat Kar Mare Hain Kayi
Sone Mein Simat Kar Mare Hain Kayi Magar Tirange Se Khoobsurat Koyi Qafan Nahi Hota.

ज़माने भर में मिलते हैं आशिक कई
मगर वतन से खूबसूरत कोई सनम नहीं होता
नोटों में लिपट कर मरे हैं कई
सोने में सिमटकर मरे हैं कई मगर तिरंगे से खूबसूरत कोई कफ़न नहीं होता
Zamaane Bhar Mein

Hum Apne Khoon Se

Hum Apne Khoon Se Likhein Kahani Aye Watan Mere
Karein Qurbaan Hans Kar Yeh Jawani Aye Watan Mere
Dili Khwahish Nahi Koyi Magar Yeh Iltiza Bas Hai
Humare Hausle Paa Jayein Maani Aye Watan Mere.

हम अपने खून से लिक्खें कहानी ऐ वतन मेरे
करें कुर्बान हँस कर ये जवानी ऐ वतन मेरे
दिली ख्वाहिश नहीं कोई मगर ये इल्तिजा बस है
हमारे हौसले पा जायें मानी ऐ वतन मेरे
Hum Apne Khoon Se

Ye Nafrat Buri Hai

Ye Nafrat Buri Hai Na Paalo Ise
Dilo Mein Khalish Hai Nikalo Ise
Na Tera Na Mera Na Iska Na Uska
Yeh Sab Ka Watan Hai, Bacha Lo Ise.

ये नफरत बुरी है न पालो इसे
दिलो में खलिश है निकालो इसे
न तेरा न मेरा न इसका न उसका
यह सब का वतन है, बचा लो इसे.
Ye Nafrat Buri Hai

Goonje Kahin Par

Goonje Kahin Par Shankh Kahin Pe Ajaan Hai
Bible Hai, Granth Sahib Hai Geeta Ka Gyan Hai
Duniya Mein Kahin Aur Yeh Manzar Naseeb Nahi
Dikhaao Zamane Ko Yeh Hindustan Hai.

गूंजे कहीं पर शंख कहीं पे अजान है
बाइबिल है ग्रन्थ साहब है गीता का ज्ञान है
दुनिया में कहीं और यह मंज़र नसीब नहीं
दिखाओ ज़माने को ये हिंदुस्तान है.
Goonje Kahin Par
🔥️ NEXT 🔥 🔥️ MORE 🔥